Sher
"sajde miri jabin ke nahin is qadar haqir kuchh to samajh raha huun tire astan ko main"
"DhunDhne ko tujhe o mere na milne vaale vo chala hai jise apna bhi pata yaad nahin"
ڈھونڈھنے کو تجھے او میرے نہ ملنے والے وہ چلا ہے جسے اپنا بھی پتا یاد نہیں
ढूँढने को तुझे ओ मेरे न मिलने वाले वो चला है जिसे अपना भी पता याद नहीं

"sajde miri jabin ke nahin is qadar haqir kuchh to samajh raha huun tire astan ko main"
"kafir gesu valon ki raat basar yuun hoti hai husn hifazat karta hai aur javani soti hai"
"nazar karam ki faravaniyon pe paDti hai phir apne daman-e-khaki ko dekhta huun main"
"vo saval-e-lutf par patthar na barsa.en to kyuun un ko parva-e-shikast-e-kasa-e-sa.il nahin"
"khiraman khiraman mo.attar mo.attar nasim aa rahi hai ki vo aa rahe hain"
"tere naghmon se hai rag rag men tarannum paida ishrat-e-ruh hai zalim tiri avaz nahin"