Sher
"jazbon par jab barf jame to jiina mushkil hota hai dil ke atish-dan men thoDi aag jalani paDti hai"
"be-qarari se mire paas vo aaya lekin us ne puchha bhi to bas ye ki fulan kaisa hai"
بے قراری سے مرے پاس وہ آیا لیکن اس نے پوچھا بھی تو بس یہ کہ فلاں کیسا ہے
बे-क़रारी से मिरे पास वो आया लेकिन उस ने पूछा भी तो बस ये कि फुलाँ कैसा है

"jazbon par jab barf jame to jiina mushkil hota hai dil ke atish-dan men thoDi aag jalani paDti hai"
"sard hote hue vajud men bas kuchh nahin tha alaav ankhen thiin"
"khud apne-ap se milne ki khatir abhi koson mujhe chalna paDega"
"main ne kaha tha mujh ko andhere ka khauf hai us ne ye sun ke aaj mira ghar jala diya"
"ek avaz main ne suni thi abhi kaun bola tha ye to khabar hi nahin ye ta'alluq zaruri hai kis ne kaha vo bhi khamosh tha main bhi khamosh thi"
"aise kuchh hadse bhi guzre hain jin pe main aaj tak nahin roi"