Sher
"pareshan hone valon ko sukun kuchh mil bhi jaata hai pareshan karne valon ki pareshani nahin jaati"
"umr-e-daraz maang ke laa.i thi chaar din do aarzu men kaT ga.e do intizar men"
عمر دراز مانگ کے لائی تھی چار دن دو آرزو میں کٹ گئے دو انتظار میں
उम्र-ए-दराज़ माँग के लाई थी चार दिन दो आरज़ू में कट गए दो इंतिज़ार में

"pareshan hone valon ko sukun kuchh mil bhi jaata hai pareshan karne valon ki pareshani nahin jaati"
"miri khamoshiyon par duniya mujh ko ta.an deti hai ye kya jaane ki chup rah kar bhi ki jaati hain taqriren"
"vo duniya thi jahan tum band karte the zaban meri ye mahshar hai yahan sunni paDegi dastan meri"
"markaz pe apne dhuup simaTti hai jis tarah yuun rafta rafta tere qarib aa raha huun main"
"khulus-e-dil se sajda ho to us sajde ka kya kahna vahin ka.aba sarak aaya jabin ham ne jahan rakh di"
"roz kahta huun ki ab un ko na dekhunga kabhi rose us kuche men ik kaam nikal aata hai"