Sher
"matam-e-marg-e-tamanna na samajh ai nadan zindagi bol rahi hai mire afsane men"
S
Shauq Asar Rampuri"bata nasib-e-nasheman main kya dua mangun jo asman ki taraf raushni nazar aa.e"
بتا نصیب نشیمن میں کیا دعا مانگوں جو آسماں کی طرف روشنی نظر آئے
बता नसीब-ए-नशेमन मैं क्या दुआ माँगूँ जो आसमाँ की तरफ़ रौशनी नज़र आए
"matam-e-marg-e-tamanna na samajh ai nadan zindagi bol rahi hai mire afsane men"
"vo gham ho ya alam ho dard ho ya alam-e-vahshat use apna samajh ai zindagi jo tere kaam aa.e"
"aaj tak dair-o-haram men tegh hi chalti rahi laakh ham-rindon ne chaha shisha-o-saghar chalen"
"abhi farq hai aadmi aadmi men abhi duur hai aadmi aadmi se"
"shagufta phuul jo dekhe to 'shauq' yaad aaya diye the daagh bhi gulshan ne be-shumar mujhe"
"mire khayal ki vus.at men hain hazar chaman kahan kahan se nikalegi ye bahar mujhe"