Sher
"jaane vaale kabhi nahin aate jaane valon ki yaad aati hai"
"bahar aa.e to khud hi laala o nargis bata denge khizan ke daur men dilkash gulistanon pe kya guzri"
بہار آئے تو خود ہی لالہ و نرگس بتا دیں گے خزاں کے دور میں دل کش گلستانوں پہ کیا گزری
बहार आए तो ख़ुद ही लाला ओ नर्गिस बता देंगे ख़िज़ाँ के दौर में दिलकश गुलिस्तानों पे क्या गुज़री

"jaane vaale kabhi nahin aate jaane valon ki yaad aati hai"
"dil ki basti ajiib basti hai ye ujaDne ke baa'd basti hai"
"der se aa rahi hai yaad tiri kya tujhe yaad aa raha huun main"
"tamiz-e-khvab-o-haqiqat hai shart-e-bedari khayal-e-azmat-e-mazi ko chhoD haal ko dekh"
"khuda shahid hai mere bhulne vaale ba-juz tere mujhe takhliq-e-alam ra.egan ma.alum hoti hai"
"ahl-e-himmat ko balaon pe hansi aati hai nang-e-hasti hai musibat men pareshan hona"