Sher
"dil us chashm ko vo dil-e-zar ko ki dekhe hai bimar bimar ko"
T
Tasveer Dehlvi"aisa tire firaq men bimar ho gaya main charagar ki jaan ko azar ho gaya"
ایسا ترے فراق میں بیمار ہو گیا میں چارہ گر کی جان کو آزار ہو گیا
ऐसा तिरे फ़िराक़ में बीमार हो गया मैं चारागर की जान को आज़ार हो गया
"dil us chashm ko vo dil-e-zar ko ki dekhe hai bimar bimar ko"
"tamanna jo na rakhta ho jhuka.e vo nazar kis se use shadi o gham kis ka use suud o zarar kis se"
"vo kaun si jafa hai ki jo tum ne ki nahin vo kaun sa sitam hai jo main ne saha nahin"
"dil ko ro baiThe ki dil le ke vo ghar baiTh rahe ham idhar baiTh rahe aur vo udhar baiTh rahe"