Sher
"kitni asani se mash.hur kiya hai khud ko main ne apne se baDe shakhs ko gaali de kar"
"apne atvar men kitna baDa shatir hoga zindagi tujh se kabhi jis ne shikayat nahin ki"
اپنے اطوار میں کتنا بڑا شاطر ہوگا زندگی تجھ سے کبھی جس نے شکایت نہیں کی
अपने अतवार में कितना बड़ा शातिर होगा ज़िंदगी तुझ से कभी जिस ने शिकायत नहीं की

"kitni asani se mash.hur kiya hai khud ko main ne apne se baDe shakhs ko gaali de kar"
"chhat Tapakti thi agarche phir bhi aa jaati thi niind main na.e ghar men bahut roya purane ke liye"
"abhi zinda hain ham par khatm kar le imtihan saare hamare baad koi imtihan koi nahin dega"
"meri ik chhoTi si koshish tujh ko paane ke liye ban ga.i hai mas.ala saare zamane ke liye"
"asman aisa bhi kya khatra tha dil ki aag se itni barish ek shole ko bujhane ke liye"
"dekhen qarib se bhi to achchha dikha.i de ik aadmi to shahr men aisa dikha.i de"