Sher
"baaz aa.e mohabbat se ai ishq khuda hafiz ulfat men jise dekho andha nazar aata hai"
"hamen batla na den ashiq jo hain ru-e-kitabi par sabaq hai kya koi ma.ashuq jis ko yaad karte hain"
ہمیں بتلا نہ دیں عاشق جو ہیں روئے کتابی پر سبق ہے کیا کوئی معشوق جس کو یاد کرتے ہیں
हमें बतला न दें आशिक़ जो हैं रू-ए-किताबी पर सबक़ है क्या कोई मा'शूक़ जिस को याद करते हैं

"baaz aa.e mohabbat se ai ishq khuda hafiz ulfat men jise dekho andha nazar aata hai"
"ilm men jhingur se baDh kar kamran koi nahin chaaT jaata hai kitaben imtihan koi nahin"
"chaa.e men Daal kar ushshaq use pi jaate dar-haqiqat lab-e-ma.ashuq jo shakkar hota"
"vahshat men har ik naqsha ulTa nazar aata hai majnun nazar aati hai laila nazar aata hai"
"'zarif' ab fa.eda kya sha.iron ko sardi khane se ghazal ham paDh chuke ghar jaa.en kyuun be-kar baiThe hain"
"mai ko jo istilah men kahte hain dukht-e-raz vo mughbacha hai rindon ka saala kahen jise"