Sher
"ab jo ruThe to jaan pe banti hai khush hua mujh se be-sabab koi"
"rang baten karen aur baton se khushbu aa.e dard phulon ki tarah mahke agar tu aa.e"
رنگ باتیں کریں اور باتوں سے خوشبو آئے درد پھولوں کی طرح مہکے اگر تو آئے
रंग बातें करें और बातों से ख़ुश्बू आए दर्द फूलों की तरह महके अगर तू आए

"ab jo ruThe to jaan pe banti hai khush hua mujh se be-sabab koi"
"ishq men bhi koi anjam hua karta hai ishq men yaad hai aghaz hi aghaz mujhe"
"ye aansu ye pashemani ka iz.har mujhe ik baar phir bahka ga.i ho"
"himmat hai to buland kar avaz ka alam chup baiThne se hal nahin hone ka mas.ala"
"tu koi sukha hua patta nahin hai ki jise jis taraf mauj-e-hava chahe uDa kar le jaa.e"
"bura na maan 'ziya' us ki saf-goi ka jo dard-mand bhi hai aur be-adab bhi nahin"