"dukh hai kai vabaal mujhe nochte rahe vahshat mein maah-o-saal mujhe nochte rahe main ehtijaaj kar na sakaa ehtiraam mein aur us ke khadd-o-khaal mujhe nochte rahe zakhmi huaa huun husn ke haathon tamaam umr kuchh log be-misaal mujhe nochte rahe un ko bhi de rahaa huun duaaein mire aziiz jo kar ke paaemaal mujhe nochte rahe yaa shahr mein hasin rulaate the raat-din yaa dasht mein ghazaal mujhe nochte rahe 'mannaan' jo milaataa rahaa meri haan mein haan us shakhs ke savaal mujhe nochte rahe"
inkaar ke pahlu mein hai inkaar kam-o-besh — Mannan Qdeer Mannan
"inkaar ke pahlu mein hai inkaar kam-o-besh divaar ke aage bhi hai divaar kam-o-besh dushman se rahaa barsar-e-paikaar main tanhaa sab apni bachaate rahe dastaar kam-o-besh ye mulk hunar vaalon ke haq mein nahin saahib ghurbat mein yahaan marte hain fankaar kam-o-besh mahke hue ajsaam mein rahtaa huun hamesha rahti hai mire chaar-su mahkaar kam-o-besh ye shahr kisi khauf mein rahtaa hai musalsal is shahr ke khulte nahin baazaar kam-o-besh main dekhne mein dost parindon ki tarah huun ab mujh se gale milte hain ashjaar kam-o-besh ab subh se 'mannaan' nahin milnaa milaanaa ab der se hotaa huun main bedaar kam-o-besh"
انکار کے پہلو میں ہے انکار کم و بیش دیوار کے آگے بھی ہے دیوار کم و بیش دشمن سے رہا برسر پیکار میں تنہا سب اپنی بچاتے رہے دستار کم و بیش یہ ملک ہنر والوں کے حق میں نہیں صاحب غربت میں یہاں مرتے ہیں فن کار کم و بیش مہکے ہوئے اجسام میں رہتا ہوں ہمیشہ رہتی ہے مرے چار سو مہکار کم و بیش یہ شہر کسی خوف میں رہتا ہے مسلسل اس شہر کے کھلتے نہیں بازار کم و بیش میں دیکھنے میں دوست پرندوں کی طرح ہوں اب مجھ سے گلے ملتے ہیں اشجار کم و بیش اب صبح سے منانؔ نہیں ملنا ملانا اب دیر سے ہوتا ہوں میں بیدار کم و بیش
इंकार के पहलू में है इंकार कम-ओ-बेश दीवार के आगे भी है दीवार कम-ओ-बेश दुश्मन से रहा बरसर-ए-पैकार मैं तन्हा सब अपनी बचाते रहे दस्तार कम-ओ-बेश ये मुल्क हुनर वालों के हक़ में नहीं साहिब ग़ुर्बत में यहाँ मरते हैं फ़नकार कम-ओ-बेश महके हुए अज्साम में रहता हूँ हमेशा रहती है मिरे चार-सू महकार कम-ओ-बेश ये शहर किसी ख़ौफ़ में रहता है मुसलसल इस शहर के खुलते नहीं बाज़ार कम-ओ-बेश मैं देखने में दोस्त परिंदों की तरह हूँ अब मुझ से गले मिलते हैं अश्जार कम-ओ-बेश अब सुब्ह से 'मन्नान' नहीं मिलना मिलाना अब देर से होता हूँ मैं बेदार कम-ओ-बेश

More by Mannan Qdeer Mannan
View all →"judaaiyon se jo paimaan kar rahaa huun main ye mushkilein tiri aasaan kar rahaa huun main bilaa-javaaz lagaai nahin hai khud ko aag bujhe charaagh pe ehsaan kar rahaa huun main zaraa bhi khaak uDaai nahin hai vahshat mein guzarne vaalon ko hairaan kar rahaa huun main lagaa rahaa huun jo main baar baar dil se tujhe ye apne jism ko gul-daan kar rahaa huun mein mujhe khabar thi judaai mein faaeda hai magar sabhi ne samjhaa ki nuqsaan kar rahaa huun main hai mere paas ik achchhi khabar baraa-e-junun zaraa ruko koi elaan kar rahaa huun main javaaz koi nahin dusri mohabbat kaa ye aur baat ki 'mannaan' kar rahaa huun main"
"aa baiTh to mere saamne o dildaar planning karte hain duniyaa se bachaanaa hai kaise ab pyaar planning karte hain har ek pe kab khulte hain ye ai dost tumhein maalum to hai kuchh khaas parindon se mil kar ashjaar planning karte hain so shak ki koi gunjaaish naiin ye baat ayaan to sab par hai jab mil baiThein to zaahir hai phir yaar planning karte hain lagtaa hai asar nahin karti ab koi bhi davaa un par saahib har roz masihaa se mil kar bimaar planning karte hain ye dasht hai itnaa sahl nahin is viraane mein rah jaanaa kuchh soch ke hi ham vahshat mein har baar planning karte hain jo sochte hain vo hotaa naiin jo naiin hotaa vo sochte hain yuun lagtaa hai 'mannaan' ki ham be-kaar planning karte hain"
"saare nahin junun mein aise paDe hue ham log hain zamin pe jaise paDe hue aap aae hain to uTThaa huun itnaa rahe khayaal ik umr ho gai mujhe vaise paDe hue shohrat ne kar diyaa miraa jiinaa bhi ab muhaal ye log mere pichhe hain kaise paDe hue khvaabon ki rezgaari liye phir rahaa huun mein hain meri jeb mein yahi paise paDe hue mumkin agar ho koi kiyaa jaae intizaam khaali subu hain dosto mai se paDe hue koshish ke baavajud bhi khultaa nahin ki hain jazbaat lag ke kaun si shai se paDe hue"
"hai mujh ko andaaza khul bhi saktaa hai dastak par darvaaza khul bhi saktaa hai hijr mein tum mohtaat raho to behtar hai kyunki zakhm hai taaza khul bhi saktaa hai sone vaalon ko maalum nahin shaayad khvaabon kaa khamyaaza khul bhi saktaa hai itnaa bhi mohtaat nahin hotaa ye dost rukhsaaron par ghaaza khul bhi saktaa hai sannaaTaa ab itnaa bhi be-dard nahin chup par ye aavaaza khul bhi saktaa hai kaise ishq kaa har jaanib ‘mannaan-qaadir’ bikhraa hai shiraaza khul bhi saktaa hai"
"duur rah kar qarin jaisi hai be-yaqini yaqin jaisi hai meraa koi makaan nahin lekin meri haalat makin jaisi hai naql hoti hai asl kaa hissa behtari behtarin jaisi hai hijr se vasl ki mohabbat bhi saanp aur aastin jaisi hai ye kaDhaai hai us ke haath ki or dekhne mein machine jaisi hai jis jagah chaahein aap ruk jaaein dil ki vusat zamin jaisi hai farq zaahir ho kis tarah un kaa har amaanat amiin jaisi hai aasmaan se pare bhi dekhoge aankh gar durbin jaisi hai us kaa itnaa hi ehtiraam karo aarfi aarfin jaisi hai"