SHAWORDS
🔥
عشق

Ishq

Passionate verses of intense love — the obsession that transforms the soul.

20,112+ entries
Quote
"bahut shaadaab ho lekin bayaabaani nahin jaati ki baam-e-auj chhune se bhi arzaani nahin jaati kai chehron ne aavaazon ne dil aabaad rakkhaa hai magar aankhon mein raqsaan hai jo viraani nahin jaati mujhe apni numu ke vaaste tum se bichhaDnaa hai tumhaare saath rahne se tan-aasaani nahin jaati main is dil ki sabhi sachchaaiyaan taslim kartaa huun magar ik baat aisi bhi hai jo maani nahin jaati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun thaa kis ne pukaaraa thaa yahaan to apni bhi aavaaz pahchaani nahin jaati 'samir' is ishq mein insaan kyaa itnaa badaltaa hai main khud par ghaur kartaa huun to hairaani nahin jaati"
N
Naeem Sameer
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"hijaab vaalon se vo be-hijaab ho na sakaa vo saamne thaa magar be-naqaab ho na sakaa vajud-e-khaak kaa insaan khitaab ho na sakaa ye zarra ghair-e-karam aaftaab ho na sakaa karam vo tuur pe ik be-niyaaz-e-jalva par vo be-niyaazi thi jis kaa javaab ho na sakaa uThaa ke parda chhupaa kasrat-e-tajalli mein vo be-naqaab huaa be-naqaab ho na sakaa tamaam umr rahe dekhte hayaat ke khvaab hamaari aankhon mein ye khvaab khvaab ho na sakaa rahi fareb-e-tasavvur ye raftani duniyaa saraab jaise kabhi ju-e-aab ho na sakaa zamir zaahir-o-baatin se ho gayaa aagaah kharaab baada-e-irfaan kharaab ho na sakaa mire karim ne bakhshaa isi bahaane se mire gunaahon kaa jab kuchh hisaab ho na sakaa abhi kami hai tire zauq-e-ishq mein 'aiman' lahu huaa tiraa aansu sharaab ho na sakaa"
A
Aiman Amritsari
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"ik daf'a uljhe to uljhe hi rahe pyaar ke saude mein ghaaTe hi rahe dekh kar vo bas tamaashaai rahaa aur ham daldal mein dhanste hi rahe vo haqiqat ki taraf baDhtaa rahaa us ke sapne sirf sapne hi rahe vaqt dariyaa ki tarah bahtaa rahaa be-'amal bas haath malte hi rahe jaise jaise raushni baDhti gai sab ke chehre phike paDte hi rahe shaakh se TuuTe the jo patte kabhi abr bhi barsaa to sukhe hi rahe rahmaton ki baarishein hoti rahin aur zamin vaale ki pyaase hi rahe 'ishq ne barzakh mein rakkhaa yuun ki ham un ke ho paae na khud ke hi rahe vaqt kaa suraj jagaataa hi rahaa vo magar aankhon ko munde hi rahe rahbari par naaz thaa jin ko kabhi dil ki raahon mein vo bhaTke hi rahe chehra paDhnaa mujh ko aataa thaa magar chehre ke pichhe bhi chehre hi rahe"
Ameeta Parsuram MeetaAmeeta Parsuram Meeta
Quote
"kaam liyaa jab lafzon hi se khud ko bas naakaam kiyaa baat asar-andaaz hui jab she'ron ko paighaam kiyaa ye kaise saari duniyaa mein aaj bahut mashhur ho tum vaise to saari duniyaa ne tum ko bahut gumnaam kiyaa yak-rangi se 'aajiz aa kar rangaa-rangi ki khaatir jo mujh ko raas aayaa thaa us nilam ko nilaam kiyaa aksar tanhaai mein mujh ko yaad aa jaataa hai vo sab haan aaghaaz se pahle hi jis ko main ne anjaam kiyaa khaamoshi pas fan hai khudaa kaa sikhaa ham ne bhi lekin har-su roz machaayaa tahalka yaa paidaa kohraam kiyaa vaqt ke saath aur aap ke haathon qadrein kitni badli hain ek ilzaam se kitnaa kam hai haasil jo in'aam kiyaa kahiye husn aur 'ishq ko de kar apne dil ke khuun kaa lams kis ne use gul-rang kiyaa phir kis ne use gulfaam kiyaa ab kaa fasaad aaraam se guzre is koshish mein us ne to qashqa khinchaa dair mein baiThaa kab kaa tark islaam kiyaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"haath mein gar asaa nahin hotaa bahr mein raasta nahin hotaa niyyatein paak agar nahin hon to koi sajda adaa nahin hotaa chaar nazrein agar nahin hotin dard-e-dil yuun baDhaa nahin hotaa haar jaataa agar main ye baazi yaar mujh se khafaa nahin hotaa tum gar apnaa ziyaan nahin karte dusron kaa bhalaa nahin hotaa ishq ki aag gar nahin lagti is qadar dil jalaa nahin hotaa ham sanvarne ko bhi taras jaate ru-ba-ru aaina nahin hotaa bech dete zamir apnaa jo zulm mujh par ravaa nahin hotaa tum adan mein hi rahte ai 'saarim' tum se gar vo khafaa nahin hotaa"
Aziqur Rahman SarimAziqur Rahman Sarim
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"is imtihaan mein thaa kabhi us imtihaan mein thaa main thaa zamin pe rizq miraa aasmaan mein thaa haalaanki koi madd-e-muqaabil na thaa vahaan ik valvala 'ajib dil-e-naa-tavaan mein thaa urdu se meraa 'ishq laDakpan se thaa 'ayaan main ne jo pahlaa khat likhaa urdu zabaan mein thaa dil yunhi kah rahaa thaa vo aaegaa lauT ke ik silsila yaqin bhi vahm-o-gumaan mein thaa tum ne tajaavuzaat samajh ke giraa diyaa khvaabon kaa ik jahaan nihaan us makaan mein thaa akhlaaqiyaat bhuul gae the vahaan ke log har aadmi paDaa huaa sud-o-ziyaan mein thaa saansein ruki hui thiin vahaan saama'in ki sar chaDh ke boltaa thaa vo jaadu bayaan mein thaa"
Naz MuzaffarabadiNaz Muzaffarabadi
Quote
"hamaare dard kaa us ko jo paas ho jaae hamein bhi jiine ki thoDi si aas ho jaae shahid-e-ishq ko ghusl-o-kafan mile na mile magar vo dafn tire ghar ke paas ho jaae tumhaaraa farz hai tum us pe Daal do parda tumhaare saamne jo be-libaas ho jaae mileinge tum ko inhin pattharon mein hiire bhi nigaah shart hai jauhar-shanaas ho jaae main jaantaa huun tiraa aaj-kal jo maqsad hai hamaare zehnon pe taari hiraas ho jaae tumhaari bazm mein maanaa guzaar luun ik din tamaam umr ki lekin na pyaas ho jaae vahaan se apni nazar pher kar guzar 'muztar' jahaan dikhaave kaa tujh ko qayaas ho jaae"
Muztar AzmiMuztar Azmi
Quote
"ye vo yaqin hai jo uljhe yaqin se niklaa hai hamaari haan kaa ye dhaagaa nahin se niklaa hai ye dil hai sab se baDaa bhiik maangne vaalaa pa zindagi kaa khazaana yahin se niklaa hai tire liye jo yaqin dil mein aa gayaa thaa mire vo saanp ban ke miri aastin se niklaa hai falak ki chaah mein jhuTaa yaqin zaruri hai ye maan lo ki sitaaraa zamin se niklaa hai jahaan main Duub gayaa aur Dubtaa hi gayaa samundaron kaa samundar vahin se niklaa hai mujhe panaah mire dil-nashin ne di hai sadaa miraa makaan mire hi makin se niklaa hai ye khaar-e-ishq hai 'akhtar' maza hi detaa hai agar chubhaa to kahaan ye kahin se niklaa hai"
Akhtar AzmiAkhtar Azmi
Quote
"use bhi rabt-e-rihaaish tamaam karnaa thaa mujhe bhi apnaa koi intizaam karnaa thaa nigaar-khaane se us ne bhi rang lene the mujhe bhi shaam kaa kuchh ehtimaam karnaa thaa mujhe bhi kahni thi ik nazm us ke lahje par use bhi ishq mein kuchh apnaa naam karnaa thaa bas ek lunch hi mumkin thaa jaldi jaldi mein use bhi jaanaa thaa mujh ko bhi kaam karnaa thaa charaagh jalte the jis ke ik ek aasan mein us ek raat kaa kyaa ikhtitaam karnaa thaa koi kitaab giraani thi koi sandesa kisi tarah to use ham-kalaam karnaa thaa bas ek raat bhi guzri nahin vahaan 'mansur' tamaam umr jahaan par qayaam karnaa thaa"
Mansoor AafaqueMansoor Aafaque
Quote
"ye bhi hai koi baat ki dil bad-gumaan na ho meraa to ho 'adu kaa magar imtihaan na ho tere sivaa jo dil mein koi jaan-e-jaan na ho phir ye makaan kaahe ko ho laa-makaan na ho ai zabt-e-dard-e-ishq kisi par 'ayaan na ho dil hi mein aah kar ki koi bad-gumaan na ho shart-e-vafaa hai shikva-e-jaanaan bayaan na ho mahshar ko baa-khudaa mire munh mein zabaan na ho gulchin ho shaad khush rahein sayyaad-o-baaghbaan gulshan mein gar nahin hai miraa aashiyaan na ho kyon ho buton ke qaul kaa har baar e’tibaar dhokaa na khaaein ham jo khudaa darmiyaan na ho us barq-e-fitna-khu ki jo chaalein na hon sharik is aab-o-taab kaa sitam-e-aasmaan na ho meraa khudaa-e-paak to hai mehrbaan-e-haal kyaa fikr hai vo but jo nahin mehrbaan na ho aaina ham dikhaate hain aur bad-gumaan tujhe dekhein to apne husn pe tujh ko gumaan na ho aane de roz-e-hashr zaraa ai shab-e-firaaq aisi jagah talaash karun tu jahaan na ho duniyaa mein us ke jor se mumkin nahin najaat aisi zamin kahaan hai jahaan aasmaan na ho be-fasl kyon falak pe ghaTaaein uThin hain aaj bachnaa ye meri aah kaa zaalim dhuaan na ho jo kuchh ki puchhnaa hai yahin mujh se puchh le yaa-rab buton ke 'ishq ki pursish vahaan na ho main apne dil mein rakkhungaa ghairon ko qadr kyaa mujh par lagaa ki tiir koi raaegaan na ho hikmat khudaa ki thi ki ye khaTkaa lagaa diyaa phule na gul samaaein jo khauf-e-khizaan na ho bandish ye shaa'iron ki baid-az-qayaas hai mumkin nahin kisi ke kamar yaa dahaan na ho tirchhi na ho nigaah to bismil na ho koi sidhaa na jaae tiir jo TeDhi kamaan na ho allaah re nigaah-e-sanam ki safaaiyaan chaurang kaaT jaae magar kuchh nishaan na ho TuTein na yuun kisi pe sitam par sitam kabhi 'kaifi' jo aasmaan pe koi aasmaan na ho"
K
Kaifi Kakorvi
Quote
"mohabbat maa-sivaa ki jis ne ki gori kaloTi ki yaqin kiijo ki kaafir ho ke apni raah khoTi ki mohabbat maa-sivaa allaah ki har kufr se bad-tar faqiron ne qanaaat tab to barsili langoTi ki qanaaat kaa khazina gar kisi ke haath lag jaave nahin parvaah rakhtaa hai kisi sarraaf soTi ki dil-e-qaane ke taiin naan-e-javin khush-tar ze-tar-halva nahin ho ehtiyaaj us ko pulaav gosht roTi ki jigar khaane mein apne faaeda az-bas, tu kyaa jaane vo jaane chaashni chakkhi ho jis ne dil ki boTi ki tan-e-laaghar ba-raah-e-ishq behtar hai bachaa laa ke kiyaa muzghe ne kyaa haasil agarche shakl moTi ki ab is duniyaa mein duniyaa chhoD kar rahnaa hi behtar hai kahaani thi baDi lek 'aafridi' ne to chhoTi ki"
Qasim Ali Khan AfridiQasim Ali Khan Afridi