Quote
"khataa gayaa jo nishaana kamaan badaltaa hai nahin tamiz-e-rihaaish makaan badaltaa hai kahaani ye thi ki sab saath mil ke rahte hain phir is ke baad achaanak samaan badaltaa hai ham us ki raah mein aankhein bichhaa ke dekh chuke magar vo jaan kaa dushman kahaan badaltaa hai amir-e-shahr tanavvo-pasand hai 'khaalid' libaas-e-nau ke mutaabiq zabaan badaltaa hai"
