SHAWORDS

raste mein ajab aasaar mile — Aamir Suhail

HomeAamir SuhailGhazal
"raste mein ajab aasaar mile juun koi puraanaa yaar mile jis tarah kaDakti dhupon mein do jismon ko divaar mile jis tarah musaafir gaaDi mein ik rishte ki mahkaar mile jis tarah puraane kapDon se ik chuDi khushbu-daar mile jis tarah andhere kheton mein ik rut mashal-bardaar mile jis tarah koi hansmukh baalak jis tarah ghasili naar mile jis tarah ikahre bhaadon se ik paani ki bauchhaar mile juun ik siipi mein laal paDe juun moti dajla paar mile juun ghaav bhare naasur saa ik juun sapnon ko chahkaar mile jis tarah yatimi ko 'aamir' ik bharaa-puraa sansaar mile"
Urdu

رستے میں عجب آثار ملے جوں کوئی پرانا یار ملے جس طرح کڑکتی دھوپوں میں دو جسموں کو دیوار ملے جس طرح مسافر گاڑی میں اک رشتے کی مہکار ملے جس طرح پرانے کپڑوں سے اک چوڑی خوشبو دار ملے جس طرح اندھیرے کھیتوں میں اک رت مشعل بردار ملے جس طرح کوئی ہنس مکھ بالک جس طرح غصیلی نار ملے جس طرح اکہرے بھادوں سے اک پانی کی بوچھار ملے جوں اک سیپی میں لعل پڑے جوں موتی دجلہ پار ملے جوں گھاؤ بھرے ناسور سا اک جوں سپنوں کو چہکار ملے جس طرح یتیمی کو عامرؔ اک بھرا پرا سنسار ملے

Hindi

रस्ते में अजब आसार मिले जूँ कोई पुराना यार मिले जिस तरह कड़कती धूपों में दो जिस्मों को दीवार मिले जिस तरह मुसाफ़िर गाड़ी में इक रिश्ते की महकार मिले जिस तरह पुराने कपड़ों से इक चूड़ी खुशबू-दार मिले जिस तरह अँधेरे खेतों में इक रुत मशअ'ल-बरदार मिले जिस तरह कोई हँसमुख बालक जिस तरह ग़सीली नार मिले जिस तरह इकहरे भादों से इक पानी की बौछार मिले जूँ इक सीपी में ला'ल पड़े जूँ मोती दजला पार मिले जूँ घाव भरे नासूर सा इक जूँ सपनों को चहकार मिले जिस तरह यतीमी को 'आमिर' इक भरा-पुरा संसार मिले

raste meñ ajab āsār mile
Aamir Suhail
Aamir Suhail
Aamir Suhail
poet19 quotes

More by Aamir Suhail

View all →
Quote
"kis hatheli pe paa-posh sinche gae kis kahaani ko be-naam rakhaa gayaa zaanu-e-dil pe kal shab baDi bhiiD thi jis ke barte pe anjaam rakhaa gayaa ham shurua mohabbat se naadaar the apni aankhon se honTon se bezaar the ham se kyaa puchhte ho lahu ki khanak jis ke reshon mein ibhaam rakhaa gayaa intihaaon mein tujh se alag ho gae ibtidaaon se hi sahl-andaaz the 'umr ke reg-zaaron se guzre nahin aur shaanon pe ilzaam rakhaa gayaa raunaqon mein tamaashaa bane raat din khalvati the sadaa khalvati hi rahe mushk ki naand kulhe pe dekhi gai aur pahlu mein ilhaam rakhaa gayaa aisi be-vuqati se taraashaa gayaa apne hone pe naadim rahe 'umr bhar khushk miTTi ke Dhelon ko yakjaa kiyaa aandhiyon ke tale naam rakhaa gayaa ras-bhari kuhniyon ko nichoDaa gayaa shahr ke chauk mein laa ke chhoDaa gayaa jism ke Dhile taaron ko kaste rahe aur bhitar mein kohraam rakhaa gayaa goliyon se udhaDte rahe naam bhi baam-o-dar ki hikaayat adhuri rahi baam-o-dar ki hikaayat ki jis ke evaz bakht mein daana-o-daam rakhaa gayaa jaam mein tund paani bharaa dekhiye ab charaaghon ki lau ko miraa dekhiye surkh qaalin aur is pe bichhti ghazal jis ke zaanu pe ehraam rakhaa gayaa"
Aamir SuhailAamir Suhail
Quote
"sabz hikaayat surkh kahaani tere aanchal ki mehmaani sahj sahj us husn kaa chalnaa us pe andhi shab tufaani ik misraa vo jism ikahraa duujaa mere lab dahqaani jild sunahri honT piyaazi is pe khvaahish ki arzaani baalon kaa ghanghor andheraa ubhri inTon ki hairaani pinDli se Takraati pinDli utran ki fitna-saamaani ik laDki ke dupaTTe par ham ne ik rut hai phailaani anguron ki bel se shab-bhar baatein karti hai viraani pusht ye niil paDe hon jaise jaltaa hai paataal mein paani do jismon ki aankh anokhi khvaab aur khvaahish ki yak-jaani os ke bhaale ruuh ke chhaale chhaale saa ik dil sailaani kaise dil masle jaataa hai gadlaa din kauDi yarqaani ik taaviz kaa sabza dil par ek hikaayat raat ki raani dekh dilaason vaalaa kaasa ishq ki damDi ki hairaani saavan ke chhajje par 'aamir' ik bhi buund nahin baaraani"
Aamir SuhailAamir Suhail
Quote
"sar ko aavaaz se vahshat hi sahi aur vahshat mein aziyyat hi sahi khaak-zaadi tire ushshaaq bahut main tiri yaad se ghaarat hi sahi vo kahaan hain ki jo maslub na the meri miTTi mein baghaavat hi sahi aah-o-aahang-o-ihaanat ke kanaar ai miri pyaas pe tohmat hi sahi khud se misaaq ghalat thaa meraa ai tire khvaab zarurat hi sahi ishq ai ishq azaadaar huun main dosh pe baar-e-hazimat hi sahi phir kisi khvaab ki baiat kar lein phir kisi dukh ki tilaavat hi sahi ek khvaahish ki jise sinch sakein raaigaani ki riyaazat hi sahi ham se kuchh aur to kyaa honaa hai ik tire gham ki hifaazat hi sahi lauTte hain ki bulaataa hai koi baarish-e-sang-e-malaamat hi sahi TuTte hain ki nasha TuTtaa hai khud se milne mein aziyyat hi sahi ab kisi aur ki khvaahish hi kahaan ab tire hijr se fursat hi sahi kaaghzi shahr uDe jaate hain vo aasmaanon ki rifaaqat hi sahi"
Aamir SuhailAamir Suhail
Quote
"siskiyon hichkiyon aahon ki faraavaani mein uljhanein kitni hain is ishq ki aasaani mein ye tire baalon kaa taalaab ki tah ko chhunaa haalat-e-khvaab mein yaa aalam-e-uryaani mein be-hijaabaana kisi lahr kaa tujh tak aana phir tire jism kaa bah jaanaa ghane paani mein kahkashaaon kaa ghazaalon kaa ghazal-zaadon kaa dur-o-nazdik se aanaa tiri mehmaani mein raat kaa jhuknaa tiri pusht pe dildaari ko baagh ke peDon kaa aa jaanaa rajaz-khvaani mein baam-o-dar dekhte jaate hain khaDe sakte mein ik sitaare kaa tavaarud tiri peshaani mein marmarin ungliyaan ik dil pe likhein haal-e-hinaa phuul aavaaz kaa khil jaae pashemaani mein chaand makhruti ubhaaron pe shuaaein pheinke is qadar mahv tujhe dekh ke hairaani mein saaya-e-saabit-o-sayyaar ke haale mein chalun aur jahaanon mein rahun teri nigahbaani mein"
Aamir SuhailAamir Suhail