SHAWORDS

tu jo itni safaai de rahaa hai — Sunil Aftab

HomeSunil AftabGhazal
"tu jo itni safaai de rahaa hai magar sach to dikhaai de rahaa hai abhi Duubi nahin ummid apni abhi saahil dikhaai de rahaa hai jo baahar ho rahaa thaa shor pahle vo ab andar sunaai de rahaa hai parinde lauT aae phir qafas mein tu kaisi ye rihaai de rahaa hai ta'alluq ab na ham mein rabt koi tu kis ki ab duhaai de rahaa hai nahin ab taaqat-e-parvaaz itni jahaan tak tu rasaai de rahaa hai"
Urdu

تو جو اتنی صفائی دے رہا ہے مگر سچ تو دکھائی دے رہا ہے ابھی ڈوبی نہیں امید اپنی ابھی ساحل دکھائی دے رہا ہے جو باہر ہو رہا تھا شور پہلے وہ اب اندر سنائی دے رہا ہے پرندے لوٹ آئے پھر قفس میں تو کیسی یہ رہائی دے رہا ہے تعلق اب نہ ہم میں ربط کوئی تو کس کی اب دہائی دے رہا ہے نہیں اب طاقت پرواز اتنی جہاں تک تو رسائی دے رہا ہے

Hindi

तू जो इतनी सफ़ाई दे रहा है मगर सच तो दिखाई दे रहा है अभी डूबी नहीं उम्मीद अपनी अभी साहिल दिखाई दे रहा है जो बाहर हो रहा था शोर पहले वो अब अन्दर सुनाई दे रहा है परिंदे लौट आए फिर क़फ़स में तू कैसी ये रिहाई दे रहा है त'अल्लुक़ अब न हम में रब्त कोई तू किस की अब दुहाई दे रहा है नहीं अब ताक़त-ए-परवाज़ इतनी जहाँ तक तू रसाई दे रहा है

tū jo itnī safā.ī de rahā hai
Sunil Aftab
Sunil Aftab
Sunil Aftab
poet47 quotes

More by Sunil Aftab

View all →
Quote
"un se har roz mulaaqaat kahaan hoti hai apni sochi hui har baat kahaan hoti hai shaam hote hi chamak uThte hain palkon pe charaagh apni aankhon mein bhalaa raat kahaan hoti hai ye to sab khvaabon-khayaalon ki hain baatein varna bichhDe logon se mulaaqaat kahaan hoti hai khel to aayaa huun main 'ishq mein aakhir baazi dekhnaa ye hai mujhe maat kahaan hoti hai dekhte rahte hain chup-chaap bas ik-dusre ko log milte hain koi baat kahaan hoti hai apne jazbaat bhi rishte bhi bachaae rakhnaa har kisi se ye karaamaat kahaan hoti hai"
Sunil AftabSunil Aftab
Quote
"jidhar bhi dekhtaa huun har taraf siyaasat hai nae nizaam se mujh ko baDi shikaayat hai hamein buzurg ye qisse sunaayaa karte the yahi fasaana thaa jo aaj ki haqiqat hai tumhaare saath miri chaahatein tumhin tak thiin tumhaare baa'd sabhi se mujhe mohabbat hai abhi khafaa hai phir aa kar gale lagaa legaa main jaantaa huun ye us ki puraani 'aadat hai ye hansti-khelti duniyaa ye zindagi ke rang karam usi kaa hai saaraa usi ki rahmat hai ye saaraa khel Tikaa hai hamaare karmon par tumhaare paas hai jitnaa vahi ghanimat hai"
Sunil AftabSunil Aftab
Quote
"safar mein ab ke dariyaa paD gayaa hai hamein rasta badalnaa paD gayaa hai bharosa kar liyaa thaa raushni par hamein ye daanv ulTaa paD gayaa hai hamaare phuul murjhaane lage hain na jaane kis kaa saaya paD gayaa hai tumhaare hijr mein jheli hai vo dhuup hamaaraa rang pakkaa paD gayaa hai bichhaDne vaale kyaa tujh ko khabar hai koi kitnaa akelaa paD gayaa hai ye baarish to bahut dilkash hai lekin hamein raste mein ruknaa paD gayaa hai tumhaare khvaab se bhar li hain aankhein ye saudaa ham ko mahngaa paD gayaa hai"
Sunil AftabSunil Aftab