SHAWORDS

chhoD ye duniyaa-daari yaar — Sunil Aftab

HomeSunil AftabGhazal
"chhoD ye duniyaa-daari yaar dil se mil ik baari yaar jiine hi kab deti hai jiine ki bimaari yaar ek to milon lambi raat us pe shab-bedaari yaar aate aate aaegi lafzon mein tahdaari yaar aise utri kal ki shaam paD gai mujh pe bhaari yaar ek puraani dhun phir se ho gai mujh pe taari yaar"
Urdu

چھوڑ یہ دنیا داری یار دل سے مل اک باری یار جینے ہی کب دیتی ہے جینے کی بیماری یار ایک تو میلوں لمبی رات اس پہ شب بے داری یار آتے آتے آئے گی لفظوں میں تہہ داری یار ایسے اتری کل کی شام پڑ گئی مجھ پہ بھاری یار ایک پرانی دھن پھر سے ہو گئی مجھ پہ طاری یار

Hindi

छोड़ ये दुनिया-दारी यार दिल से मिल इक बारी यार जीने ही कब देती है जीने की बीमारी यार एक तो मीलों लम्बी रात उस पे शब-बेदारी यार आते आते आएगी लफ़्ज़ों में तहदारी यार ऐसे उतरी कल की शाम पड़ गई मुझ पे भारी यार एक पुरानी धुन फिर से हो गई मुझ पे तारी यार

chhoḌ ye duniyā-dārī yaar
Sunil Aftab
Sunil Aftab
Sunil Aftab
poet47 quotes

More by Sunil Aftab

View all →
Quote
"un se har roz mulaaqaat kahaan hoti hai apni sochi hui har baat kahaan hoti hai shaam hote hi chamak uThte hain palkon pe charaagh apni aankhon mein bhalaa raat kahaan hoti hai ye to sab khvaabon-khayaalon ki hain baatein varna bichhDe logon se mulaaqaat kahaan hoti hai khel to aayaa huun main 'ishq mein aakhir baazi dekhnaa ye hai mujhe maat kahaan hoti hai dekhte rahte hain chup-chaap bas ik-dusre ko log milte hain koi baat kahaan hoti hai apne jazbaat bhi rishte bhi bachaae rakhnaa har kisi se ye karaamaat kahaan hoti hai"
Sunil AftabSunil Aftab
Quote
"jidhar bhi dekhtaa huun har taraf siyaasat hai nae nizaam se mujh ko baDi shikaayat hai hamein buzurg ye qisse sunaayaa karte the yahi fasaana thaa jo aaj ki haqiqat hai tumhaare saath miri chaahatein tumhin tak thiin tumhaare baa'd sabhi se mujhe mohabbat hai abhi khafaa hai phir aa kar gale lagaa legaa main jaantaa huun ye us ki puraani 'aadat hai ye hansti-khelti duniyaa ye zindagi ke rang karam usi kaa hai saaraa usi ki rahmat hai ye saaraa khel Tikaa hai hamaare karmon par tumhaare paas hai jitnaa vahi ghanimat hai"
Sunil AftabSunil Aftab
Quote
"isi bhanvar mein rahungaa to paar paaungaa agar kinaare pe aayaa to Duub jaaungaa main adh-khilaa huun abhi to simaT bhi saktaa huun gar apne rang mein aayaa to phail jaaungaa nazar milaa ke vo be-chehra kar gayaa mujh ko ab aaine mein kahaan khud ko dekh paaungaa miraa qayaam kahin par miraa maqaam kahin zaraa si der main Thahrungaa lauT jaaungaa main apni khaak se ijaad ho gayaa to phir main apne vaaste sahraa bhi khud banaaungaa kisi darakht se kar lungaa apnaa dukh saajhaa kisi darakht ke saae mein baiTh jaaungaa"
Sunil AftabSunil Aftab
Quote
"safar mein ab ke dariyaa paD gayaa hai hamein rasta badalnaa paD gayaa hai bharosa kar liyaa thaa raushni par hamein ye daanv ulTaa paD gayaa hai hamaare phuul murjhaane lage hain na jaane kis kaa saaya paD gayaa hai tumhaare hijr mein jheli hai vo dhuup hamaaraa rang pakkaa paD gayaa hai bichhaDne vaale kyaa tujh ko khabar hai koi kitnaa akelaa paD gayaa hai ye baarish to bahut dilkash hai lekin hamein raste mein ruknaa paD gayaa hai tumhaare khvaab se bhar li hain aankhein ye saudaa ham ko mahngaa paD gayaa hai"
Sunil AftabSunil Aftab

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil