Shayari
jhonke ke saath chhat gai dastak ke saath dar gayaa
taaza havaa ke shauq mein meraa to saaraa ghar gayaa
pahle to ham chhaan aae khaak saare shahr ki
tab kahin jaa kar khulaa us kaa makaan hai saamne
پہلے تو ہم چھان آئے خاک سارے شہر کی
تب کہیں جا کر کھلا اس کا مکاں ہے سامنے
पहले तो हम छान आए ख़ाक सारे शहर की
तब कहीं जा कर खुला उस का मकाँ है सामने

jhonke ke saath chhat gai dastak ke saath dar gayaa
taaza havaa ke shauq mein meraa to saaraa ghar gayaa
mohabbat ek dam dukh kaa mudaavaa kar nahin deti
ye titli baiThti hai zakhm par aahista aahista
'taabish' jo guzarti hi nahin shaam ki had se
sochein to vahin raat sahar-khez bahut hai
ek muddat se miri maan nahin soi 'taabish'
main ne ik baar kahaa thaa mujhe Dar lagtaa hai
main jis sukun se baiThaa huun is kinaare par
sukun se lagtaa hai meraa qayaam aakhiri hai
muddat ke baad khvaab mein aayaa thaa meraa baap
aur us ne mujh se itnaa kahaa khush rahaa karo