Shayari
kisi ko khvaab mein aksar pukaarte hain ham
'ataa' isi liye sote mein honT hilte hain
naa-rasaai ne ajab taur sikhaae hain 'ataa'
yaani bhule bhi nahin tum ko pukaaraa bhi nahin
نارسائی نے عجب طور سکھائے ہیں عطاؔ
یعنی بھولے بھی نہیں تم کو پکارا بھی نہیں
ना-रसाई ने अजब तौर सिखाए हैं 'अता'
यानी भूले भी नहीं तुम को पुकारा भी नहीं

kisi ko khvaab mein aksar pukaarte hain ham
'ataa' isi liye sote mein honT hilte hain
ham aaj hanste hue kuchh alag dikhaai diye
ba-vaqt-e-girya ham aise the, saare jaise hain
phir koi duur huaa jaataa hai
phir koi dil ke qarib aaegaa
ham ne avval to kabhi us ko pukaaraa hi nahin
aur pukaaraa to pukaaraa bhi sadaaon ke baghair
ye jo raaton ko mujhe khvaab nahin aate 'ataa'
is kaa matlab hai miraa yaar khafaa hai mujh se
ham aastaan-e-khudaa-e-sukhan pe baiThe the
so kuchh saliqe se ab zindagi tabaah karein