Shayari
leaderi chaaho to lafz-e-qaum hai mehmaan-navaaz
gap-navison ko aur ahl-e-mez ko raazi karo
samajh mein saaf aa jaae fasaahat is ko kahte hain
asar ho sunne vaale par balaaghat is ko kahte hain
سمجھ میں صاف آ جائے فصاحت اس کو کہتے ہیں
اثر ہو سننے والے پر بلاغت اس کو کہتے ہیں
समझ में साफ़ आ जाए फ़साहत इस को कहते हैं
असर हो सुनने वाले पर बलाग़त इस को कहते हैं

leaderi chaaho to lafz-e-qaum hai mehmaan-navaaz
gap-navison ko aur ahl-e-mez ko raazi karo
dukhtar-e-raz ne uThaa rakkhi hai aafat sar par
khairiyat guzri ki angur ke beTaa na huaa
log kahte hain badaltaa hai zamaana sab ko
mard vo hain jo zamaane ko badal dete hain
shaikh apni rag ko kyaa karein reshe ko kyaa karein
mazhab ke jhagDe chhoDein to peshe ko kyaa karein
jis taraf uTh gai hain aahein hain
chashm-e-bad-dur kyaa nigaahein hain
ham aisi kul kitaabein qaabil-e-zabti samajhte hain
ki jin ko paDh ke laDke baap ko khabti samajhte hain