Shayari
na aabshaar na sahraa lagaa sake qimat
ham apni pyaas ko le kar dahan mein lauT aae
pahle sahraa se mujhe laayaa samundar ki taraf
naav par kaaghaz ki phir mujh ko savaar us ne kiyaa
پہلے صحرا سے مجھے لایا سمندر کی طرف
ناؤ پر کاغذ کی پھر مجھ کو سوار اس نے کیا
पहले सहरा से मुझे लाया समुंदर की तरफ़
नाव पर काग़ज़ की फिर मुझ को सवार उस ने किया

na aabshaar na sahraa lagaa sake qimat
ham apni pyaas ko le kar dahan mein lauT aae
shahr mein saare charaaghon ki ziyaa khaamosh hai
tirgi har samt phailaa kar havaa khaamosh hai
lagi vo tujh si to aalam mein munfarid Thahri
vagarna aam si lagti agar judaa lagti
vo maarka ki aaj bhi sar ho nahin sakaa
main thak ke muskuraa diyaa jab ro nahin sakaa
apni taraf to main bhi nahin huun abhi talak
aur us taraf tamaam zamaana usi kaa hai
jo shaam hoti hai har roz haar jaataa huun
main apne jism ki parchhaaiyon se laDte hue