Shayari
na aabshaar na sahraa lagaa sake qimat
ham apni pyaas ko le kar dahan mein lauT aae
vo kaam rah ke karnaa paDaa shahr mein hamein
majnun ko jis ke vaaste viraana chaahiye
وہ کام رہ کے کرنا پڑا شہر میں ہمیں
مجنوں کو جس کے واسطے ویرانہ چاہیے
वो काम रह के करना पड़ा शहर में हमें
मजनूँ को जिस के वास्ते वीराना चाहिए

na aabshaar na sahraa lagaa sake qimat
ham apni pyaas ko le kar dahan mein lauT aae
shahr mein saare charaaghon ki ziyaa khaamosh hai
tirgi har samt phailaa kar havaa khaamosh hai
lagi vo tujh si to aalam mein munfarid Thahri
vagarna aam si lagti agar judaa lagti
vo maarka ki aaj bhi sar ho nahin sakaa
main thak ke muskuraa diyaa jab ro nahin sakaa
apni taraf to main bhi nahin huun abhi talak
aur us taraf tamaam zamaana usi kaa hai
jo shaam hoti hai har roz haar jaataa huun
main apne jism ki parchhaaiyon se laDte hue