Shayari
jaane lagtaa huun to vo paanv pakaD letaa hai
aur sitam ye hai ki siine se lagaataa bhi nahin
'aalam-e-hu mein sahi shor to kar lene do
apne hone kaa bhi e'laan zaruri hai miyaan
عالم ہو میں سہی شور تو کر لینے دو
اپنے ہونے کا بھی اعلان ضروری ہے میاں
'आलम-ए-हू में सही शोर तो कर लेने दो
अपने होने का भी ए'लान ज़रूरी है मियाँ

jaane lagtaa huun to vo paanv pakaD letaa hai
aur sitam ye hai ki siine se lagaataa bhi nahin
vo lamhe-bhar ko tasavvur se bhi nahin jaataa
isi liye to use apni jaan bolte hain
taraqqiyaat ki ye kaun si ghaDi hai jahaan
sab apne aap mein baazaar honaa chaahte hain
pech-dar-pech hui jaati hai duniyaa ham par
jaane kyon is pe ham aasaan hue jaate hain
ab bahut dasht-navardi hui 'aasif' saahab
ab badan maut ki aavaaz pe haan chaahtaa hai
ham ne jis haadse pe sabr kiyaa
aap hote to mar gae hote