SHAWORDS
🕊️
موت

Maut

The classical theme of death — confronting mortality with dignity and verse.

6,946+ entries
Quote
"yaad aa ke tiri hijr mein samjhaaegi kis ko dil hi nahin siine mein to bahlaaegi kis ko dam khinchtaa hai kyuun aaj ye rag rag se hamaaraa kyaa jaane idhar dil ki kashish laaegi kis ko uThne hi nahin deti hai jab yaas biThaa kar phir shauq ki himmat kahin le jaaegi kis ko jab maar hi Daalaa hamein be-taabi-e-dil ne karvaT shab-e-furqat mein badalvaaegi kis ko mar jaaeinge be-maut gham-e-hijr ke maare aaegi to ab zinda ajal paaegi kis ko achchhaa rahe tasvir kisi ki mire dil par kam-bakht na Thahregaa to Thahraaegi kis ko kuchh baiTh gayaa dil hi yahaan baiTh ke apnaa ghairat tiri mahfil se ab uThvaaegi kis ko is vaada-khilaafi ne agar jaan hi le li phir jhuTi tasalli tiri taDpaaegi kis ko kyuun leinge 'jalaal' aa ke mire dil mein vo chuTki jhapkegi palak kaahe ko niind aaegi kis ko"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi
Quote
"ahd-e-junun mein arsa-e-vahshat guzaarnaa jaise shab-e-visaal mein furqat guzaarnaa jaanaa suraagh-e-jauhar-e-takhliq DhunDne aur us ke baad aalam-e-hairat guzaarnaa karnaa hayaat pahlu-e-aivaan-e-dard mein rozaana ek roz-e-qayaamat guzaarnaa ab tak to hai uruus badan ke nasib mein zulfon pe khaak Daalnaa iddat guzaarnaa jivan sazaa-e-maut se pahle kaa khel hai sab ko hai ye mili hui mohlat guzaarnaa 'aakaash' daur-e-jabr-o-mashaqqat hai chaar din phir taa-abad sukun ki haalat guzaarnaa"
Imdad AkashImdad Akash
Quote
"ne aadmi pasand na is ko khudaa pasand hai aaine mein qaid miraa aainaa-pasand do-chaar din bhi ham se nibaahi nahin gai vo mo'tadil mizaaj thaa main intihaa pasand vo khud-fareb shakhs thaa patthar-shanaas thaa aayaa na us ko koi bhi apne sivaa pasand puchhe hai ham ne kaahe kiyaa kufr ikhtiyaar ghaflat pasand hai na hamein aasraa pasand ghaughaa-e-marg chaaron taraf phailne lagaa kyaa is jahaan ko chhoD gae baadiya-pasand us par hi bhejtaa hai vo aafat bhi maut bhi shaayad use gharib kaa bachcha hai naa-pasand aakaash ek shakhs hai duniyaa se mukhtalif pahli nazar mein hi tumhein aa jaaegaa pasand"
Imdad AkashImdad Akash
Quote
"qaamat-e-yaar ko ham yaad kiyaa karte hain sarv ko sadqe mein aazaad kiyaa karte hain zulf-e-shab-rang ko ham yaad kiyaa karte hain shab-e-taarik mein fariyaad kiyaa karte hain nigah-e-yaar ko ham yaad kiyaa karte hain dekh kar barq ko fariyaad kiyaa karte hain kucha-e-yaar ko ham yaad kiyaa karte hain jaa ke gulzaar mein fariyaad kiyaa karte hain ghar jo be-yaar hai viraan to tasavvur mein mudaam khaana-e-dil ko ham aabaad kiyaa karte hain rashk se naam nahin lete ki sun le na koi dil hi dil mein use ham yaad kiyaa karte hain guzre hain kucha-e-kaakul se sabaa ke jhonke nikhat-e-gul ko jo barbaad kiyaa karte hain hote hain jaate hi maktab mein pari-ru khun-rez kyaa ye jallaadon ko ustaad kiyaa karte hain phunk dein naala-e-sozaan se agar chaahein qafas ham faqat khaatir-e-sayyaad kiyaa karte hain hoti hai aafat-e-khat qahr-e-khudaa se naazil ye sanam ham pe jo bedaad kiyaa karte hain malak-ul-maut agar kahiye unhein to hai bajaa qatl be-tegh pari-zaad kiyaa karte hain tu vo sayyaad hai jo vaar ke tujh par laakhon taaer-e-ruh ko aazaad kiyaa karte hain intiqaam is kaa kahin le na falak Dartaa huun jhuTe vaadon se jo vo shaad kiyaa karte hain teraa divaan hai kyaa saamne un ke 'naasikh' jo ki quraan pe iraad kiyaa karte hain"
Imam Bakhsh NasikhImam Bakhsh Nasikh
Quote
"ik zaraa si chaah mein jis roz bik jaataa huun main aaine ke saamne us din nahin aataa huun main ranj gham us se chhupaataa huun main apne laakh par paDh hi letaa hai vo chehra phir bhi jhuTlaataa huun main qarz kyaa laayaa main khushiyaan zindagi se ek din roz karti hai taqaaza aur jhunjhlaataa huun main hausla to dekhiye meraa ghazal ki khoj mein apne hi siine mein khanjar saa utar jaataa huun main de sazaa-e-maut yaa phir bakhsh de tu zindagi kashmakash se yaar teri sakht ghabraataa huun main maun vo paDhtaa nahin aur shabd bhi suntaa nahin jo bhi kahnaa chaahtaa huun kah nahin paataa huun main khvaab sach karne chalaa thaa gaanv se main shahr ko niind bhi kho kar yahaan 'aalok' pachhtaataa huun main"
Alok YadavAlok Yadav