Shayari
kuchh aur din abhi is jaa qayaam karnaa thaa
yahaan charaagh vahaan par sitaara dharnaa thaa
baDi chiiz hai ye supurdagi kaa mahin pal
na samajh sako to mujhe ganvaa ke bhi dekhnaa
بڑی چیز ہے یہ سپردگی کا مہین پل
نہ سمجھ سکو تو مجھے گنوا کے بھی دیکھنا
बड़ी चीज़ है ये सुपुर्दगी का महीन पल
न समझ सको तो मुझे गँवा के भी देखना

kuchh aur din abhi is jaa qayaam karnaa thaa
yahaan charaagh vahaan par sitaara dharnaa thaa
zaraa se rizq mein barkat bhi kitni hoti thi
aur ik charaagh se kitne charaagh jalte the
tum ne to faqat us ki rivaayat hi suni hai
ham ne vo zamaana bhi guzarte hue dekhaa
ye raah-e-talab yaaro gumraah bhi karti hai
saamaan usi kaa thaa jo be-sar-o-saamaan thaa
aaina aaina tairtaa koi aks
aur har khvaab mein dusraa khvaab hai
fazaa mein haath to uTThe the ek saath kai
kisi ke vaaste koi duaa na kartaa thaa