Shayari
tum ne to faqat us ki rivaayat hi suni hai
ham ne vo zamaana bhi guzarte hue dekhaa
kuchh aur din abhi is jaa qayaam karnaa thaa
yahaan charaagh vahaan par sitaara dharnaa thaa
کچھ اور دن ابھی اس جا قیام کرنا تھا
یہاں چراغ وہاں پر ستارہ دھرنا تھا
कुछ और दिन अभी इस जा क़याम करना था
यहाँ चराग़ वहाँ पर सितारा धरना था

tum ne to faqat us ki rivaayat hi suni hai
ham ne vo zamaana bhi guzarte hue dekhaa
zaraa se rizq mein barkat bhi kitni hoti thi
aur ik charaagh se kitne charaagh jalte the
ye raah-e-talab yaaro gumraah bhi karti hai
saamaan usi kaa thaa jo be-sar-o-saamaan thaa
aaina aaina tairtaa koi aks
aur har khvaab mein dusraa khvaab hai
kuchh badan ki zabaan kahti thi
aansuon ki zabaan mein thaa kuchh
fazaa mein haath to uTThe the ek saath kai
kisi ke vaaste koi duaa na kartaa thaa
zamaana laakh sitaaron ko chhu ke aa jaae
abhi dilon ko magar haajat-e-rafu hai vahi
taa-falak le gai betaabi-e-dil tab bole
hazrat-e-ishq ki pahlaa hai ye ziinaa apnaa
shab-e-vaada fasil-e-hijr se aage chamaktaa hai tiraa ism-e-sitaara-ju
ki jaise koi paivand-e-ridaa-e-subh aa jaae kisi qindil ki zad mein
istiaare zamin se jaaein
ik ghazal aasmaan se utre
jitni baTni thi baT chuki ye zamin
ab to bas aasmaan baaqi hai
haath uThaataa hai duaaon ko falak bhi us dam
jab parinda koi parvaaz ko par taultaa hai