Shayari
ye nahin dekhte kitni hai riyaazat kis ki
log aasaan samajh lete hain aasaani ko
kisi badan ki sayaahat niDhaal karti hai
kisi ke haath kaa takiya thakaan khinchtaa hai
کسی بدن کی سیاحت نڈھال کرتی ہے
کسی کے ہاتھ کا تکیہ تھکان کھینچتا ہے
किसी बदन की सयाहत निढाल करती है
किसी के हाथ का तकिया थकान खींचता है

ye nahin dekhte kitni hai riyaazat kis ki
log aasaan samajh lete hain aasaani ko
bahut se saanp the is ghaar ke dahaane par
dil is liye bhi khazaana shumaar hone lagaa
badal ke dekh chuki hai reaayaa saahib-e-takht
jo sar qalam nahin kartaa zabaan khinchtaa hai
bhanvar se ye jo mujhe baadbaan khinchtaa hai
zarur koi havaaon ke kaan khinchtaa hai
dalil us ke dariche ki pesh ki main ne
kisi ko patli gali se nahin nikalne diyaa
aisi ghurbat ko khudaa ghaarat kare
phuul bhejvaane ki gunjaaish na ho