Shayari
ghazal kaa sher to hotaa hai bas kisi ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunaanaa paDtaa hai
nayaa khuun ragon mein ravaan kar diyaa
ghazal ham ne tujh ko javaan kar diyaa
نیا خوں رگوں میں رواں کر دیا
غزل ہم نے تجھ کو جواں کر دیا
नया ख़ूँ रगों में रवाँ कर दिया
ग़ज़ल हम ने तुझ को जवाँ कर दिया

ghazal kaa sher to hotaa hai bas kisi ke liye
magar sitam hai ki sab ko sunaanaa paDtaa hai
shikastagi mein bhi kyaa shaan hai imaarat ki
ki dekhne ko ise sar uThaanaa paDtaa hai
raasto kyaa hue vo log ki aate-jaate
mere aadaab pe kahte the ki jiite rahiye
kisi ke aib chhupaanaa savaab hai lekin
kabhi kabhi koi parda uThaanaa paDtaa hai
vo jis ke sehn mein koi gulaab khil na sakaa
tamaam shahr ke bachchon se pyaar kartaa thaa
har ek raat ko mahtaab dekhne ke liye
main jaagtaa huun tiraa khvaab dekhne ke liye