SHAWORDS
🦁
خودی

Khudi

Verses of self-respect, pride, and the power of identity.

19,127+ entries
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dam-ba-khud meri anaa teri adaa bhi dam-ba-khud tere pahlu mein rahaa main aur rahaa bhi dam-ba-khud dekhiye pahle lahu Tapke ki phailein kirchiyaan dam-ba-khud teri nazar bhi aaina bhi dam-ba-khud itnaa sannaaTaa ki jaise avvalin shaam-e-firaaq dam-ba-khud hai aasmaan bhi aur havaa bhi dam-ba-khud yaad hai tujh ko vo pahle lams ki hiddat ki jab rah gai thi dafatan teri hayaa bhi dam-ba-khud ek se aalam mein donon mukhtalif asbaab se dam-ba-khud teraa karam meri duaa bhi dam-ba-khud aisaa lagtaa hai ki donon se nahin nisbat mujhe dam-ba-khud umr-e-ravaan sail-e-fanaa bhi dam-ba-khud khauf-e-tajdid-e-taaluq darmiyaan haail rahaa dam-ba-khud teraa sitam meraa galaa bhi dam-ba-khud yuun gumaan hotaa hai donon ki tavaqqoa ek thi dam-ba-khud teri vafaa meri sazaa bhi dam-ba-khud jab khule meri haqiqat tum vo manzar dekhnaa dam-ba-khud naa-aashnaa bhi aashnaa bhi dam-ba-khud"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"khushk us ki zaat kaa saaton samundar ho gayaa dhuup kuchh aisi paDi vo shakhs banjar ho gayaa aangan aangan zahr barsaaegi us ki chaandni vo agar mahtaab ki surat ujaagar ho gayaa mere aadhe jism ki us ko lagegi bad-du'aa kal khabar aa jaaegi vo shakhs patthar ho gayaa kis ne apne haath se khud maut kaa katba likhaa kaun apni qabr par 'ibrat kaa patthar ho gayaa qurb jab had se baDhaa duuri muqaddar ho gai us kaa milnaa bhi na milne ke baraabar ho gayaa main ki baahar ki fazaa mein qaid thaa jis ke sabab aaj vo khud jins ke pinjre ke andar ho gayaa muft mein taqsim ki 'saajid' mataa-e-shaaeri jis ne apnaa qurb apnaayaa vo shaa'ir ho gayaa"
Iqbal SajidIqbal Sajid
Quote
"aise ghar mein rah rahaa huun dekh le be-shak koi jis ke darvaaze ki qismat mein nahin dastak koi yuun to hone ko sabhi kuchh hai mire dil mein magar is dukaan par aaj tak aayaa nahin gaahak koi vo khudaa ki khoj mein khud aakhiri had tak gayaa khud ko paane ki magar koshish na ki anthak koi baagh mein kal raat phulon ki haveli luT gai chashm-e-shabnam se churaa kar le gayaa ThanDak koi de gayaa aankhon ko farsh-e-raah banne kaa sila de gayaa binaai ko saughaat mein dimak koi ek bhi khvaahish ke haathon mein na mehndi lag saki mere jazbon mein na dulhaa ban sakaa ab tak koi vo bhi 'saajid' thaa mire jazbon ki chori mein sharik us ki jaanib kyuun nahin uTThi nigaah-e-shak koi"
Iqbal SajidIqbal Sajid
Quote
"nae zamaanon ki chaap to sar pe aa khaDi thi miri samaa'at guzishta advaar mein paDi thi udhar diye kaa badan havaa se thaa paara paara idhar andhere ki aankh mein ik kiran gaDi thi falak pe thaa aatishin darakhton kaa ek jangal aur un darakhton ke biich taarik jhonpaDi thi samaai kis tarah meri aankhon ki putliyon mein vo ek hairat jo aaine se bahut baDi thi jise piroyaa thaa apne haathon se tere gham ne sadaa-e-girya mein hichkiyon ki ajab laDi thi hamaari palkon pe raqs karte hue sharaare aur aasmaan mein kahin sitaaron ki phuljaDi thi tulua subh-e-hazaar khurshid ki du'aa par bujhe charaaghon ki raakh daaman pe aa paDi thi sabhi ghamin the mire piyaale mein zahr paa kar main mutmain thaa ki meri takmil ki ghaDi thi savaal-e-rukh gulsitaan mein aayaa to phuul Thahraa labon ki hasrat sukhan mein pahunchi to pankhuDi thi ye log to un dinon bhi naa-kHush the 'shahryaaraa' ki jin dinon mere paas jaadu ki ik chhaDi thi"
Ahmad ShahryarAhmad Shahryar
Quote
"ek kaif-o-masti ki zindagi hai shishe mein kis ne mai nigaahon ki Dhaal di hai shishe mein kaun ab tasalli de kaun mere kaam aae jab hayaat khud meri Dhal gai hai shishe mein gham-nigaah kyaa jaane aansuon ke Dhalne se raushni tabassum mein dilkashi hai shishe mein nuqrai tabassum mein kaifiyat hai naghmon ki jhumte hain paimaane naghmagi hai shishe mein itne kyon pareshaan ho saaghar-e-shikasta se zindagi ki raa'naai aaj bhi hai shishe mein ahl-e-aql-o-daanish ki baat ye agar sach hai be-khudi hai baade mein aagahi hai shishe mein baat ishq-o-masti ki main ne chheD di 'anvar' saagaron mein sahbaa hai shaa'iri hai shishe mein"
A
Anwar Panipati
Quote
"dekhaa thaa kis nazar se tum ne hansi hansi mein ik dard-e-mustaqil hai ab meri zindagi mein kaaba bhi but-kada bhi hai raah-e-bandagi mein ye manzilein hain kaisi dushvaar aashiqi mein ai dost yaad un ki ab tak rulaa rahi hai do din jo mil gae the hansne ko zindagi mein ik baat par hamaari uljhan mein paD gae tum duniyaa na jaane kyaa kyaa karti hai dosti mein jab hosh mein rahaa main chhupte rahe vo mujh se parde haTaa diye sab dekhaa jo be-khudi mein ai meri shaam-e-furqat yuun dil nahin bahaltaa kuchh aur raushni kar taaron ki raushni mein manzil pe mujh ko laa kar daaman jhaTak rahe ho yaad aaegaa mujhe ye ehsaan zindagi mein daur-e-khizaan se ab to bahlaa rahaa huun dil ko kaanTon mein phans gayaa huun phulon ki dosti mein tu un ke saamne ho vo tere saamne hon aisaa bhi ek sajda 'aarif' ho be-khudi mein"
Aarif NaqshbandiAarif Naqshbandi
Quote
"khud ko kyaa khuun rulaaoge bataao to sahi tum mujhe kaise bhulaaoge bataao to sahi aise chup-chaap tumhein main nahin jaane dungaa tum kabhi lauT ke aaoge bataao to sahi muddat-e-hijr mukarrar mujhe manzur magar apne siine se lagaaoge bataao to sahi yaad mein meri sabhi kaam se ghaafil ho kar chaar aansu bhi bahaaoge bataao to sahi ratjage mere muqaddar mein likhe hain tum ne aur khud khvaab sajaaoge bataao to sahi tum se pahle bhi kai log mujhe chhoD gae main jo ruThungaa manaaoge bataao to sahi tum kisi ko jo kabhi meraa havaala doge meri ghazlein bhi sunaaoge bataao to sahi jab davaa kaam na kar paaegi mujh par 'aarif' tum masihaai ko aaoge bataao to sahi"
Aarif NazeerAarif Nazeer
Quote
"dil kisi ke liye jaan kisi ke liye ye to achchhaa nahin aap hi ke liye kuchh kiyaa kijiye zindagi ke liye maut Talti nahin hai kisi ke liye aise mai-khvaar bhi hain jo mai ke evaz khun-e-dil piite hain be-khudi ke liye har taraf zulmaton ki hai chhaai ghaTaa muztarib hain sabhi raushni ke liye kashmakash mein miri umr saari kaTi mil na paayaa sukun do ghaDi ke liye saadgi valvala sidq soz-o-asar laazmi juzv hain shaaeri ke liye gulshan-e-zist 'akhtar' khile aur ke main tarastaa rahaa ik kali ke liye"
Akhtar SiddiquiAkhtar Siddiqui
Quote
"kaam anjaam diye sab se niraale ham ne mom se haathon mein angaare uchhaale ham ne ek din bhuuk ne ghurbat kaa tamaasha dekhaa ek din paani mein patthar jo ubaale ham ne ham ne khud se bhi ghulaamon saa ravayya rakhaa shaahzaadi tire ahkaam na Taale ham ne dil ko mahfuz kiyaa vahshat-o-viraani se khud haTaae hain tiri yaad ke jaale ham ne ham se saail ki musibat nahin dekhi jaati bhiik mein de diye suraj ko ujaale ham ne baanT di un ke tavassul se hi khaaron ko ghizaa kaam mein le hi liye paanv ke chhaale ham ne haath phailaae nahin ghair ke darvaaze par tujh se ummid rakhi paalne vaale ham ne"
Amaan HaiderAmaan Haider