Shayari
ahmiyat kaa mujhe apni bhi to andaaza hai
tum gae vaqt ki maanind ganvaa do mujh ko
us ne chaahaa thaa ki chhup jaae vo apne andar
us ki qismat ki kisi aur kaa vo ghar niklaa
اس نے چاہا تھا کہ چھپ جائے وہ اپنے اندر
اس کی قسمت کہ کسی اور کا وہ گھر نکلا
उस ने चाहा था कि छुप जाए वो अपने अंदर
उस की क़िस्मत कि किसी और का वो घर निकला

ahmiyat kaa mujhe apni bhi to andaaza hai
tum gae vaqt ki maanind ganvaa do mujh ko
main ne ye soch ke boe nahin khvaabon ke darakht
kaun jangal mein uge peD ko paani degaa
ek muddat se khayaalon mein basaa hai jo shakhs
ghaur karte hain to us kaa koi chehra bhi nahin
ham aise surmaa hain laD ke jab haalaat se palTe
to baDh ke zindagi ne pesh kiin baisaakhiyaan ham ko
main jab bhi us ki udaasi se uub jaaungi
to yuun hansegaa ki mujh ko udaas kar degaa
aaj kam-az-kam khvaabon hi mein mil ke pi lete hain, kal
shaayad khvaabon mein bhi khaali paimaane Takraaein log