Shayari
tumhaaraa saath agar ho to joD saktaa huun
vo silsila jo sar-e-daastaan TuuT gayaa
ye kis zamin ki kashish khinchti hai mere qadam
ye kaun log bulaate hain mujh ko apni taraf
یہ کس زمیں کی کشش کھینچتی ہے میرے قدم
یہ کون لوگ بلاتے ہیں مجھ کو اپنی طرف
ये किस ज़मीं की कशिश खींचती है मेरे क़दम
ये कौन लोग बुलाते हैं मुझ को अपनी तरफ़

tumhaaraa saath agar ho to joD saktaa huun
vo silsila jo sar-e-daastaan TuuT gayaa
roz dastak si koi detaa hai siine mein 'nabil'
roz mujh mein kisi aavaaz ke par khulte hain
khaamushi TuTegi aavaaz kaa patthar bhi to ho
jis qadar shor hai andar kabhi baahar bhi to ho
ek takhti amn ke paighaam ki
Taang diije unche minaaron ke beach
phir nae saal ki sarhad pe khaDe hain ham log
raakh ho jaaegaa ye saal bhi hairat kaisi
main agar TuuTaa to saaraa shahr bikhregaa 'nabil'
aisaa patthar huun fasil-e-shahr ki buniyaad kaa