Shayari
har ek lahza miri dhaDkanon mein chubhti thi
ajiib chiiz mire dil ke aas-paas rahi
farishte dekh rahe hain zamin o charkh kaa rabt
ye faasla bhi to insaan ki ek jast lage
فرشتے دیکھ رہے ہیں زمین و چرخ کا ربط
یہ فاصلہ بھی تو انساں کی ایک جست لگے
फ़रिश्ते देख रहे हैं ज़मीन ओ चर्ख़ का रब्त
ये फ़ासला भी तो इंसाँ की एक जस्त लगे

har ek lahza miri dhaDkanon mein chubhti thi
ajiib chiiz mire dil ke aas-paas rahi
chaandi ke gharondon ki jab baat chali hogi
miTTi ke khilaunon se bahlaae gae honge
biich saDak ik laash paDi thi aur ye likkhaa thaa
bhuuk mein zahrili roTi bhi miThi lagti hai
log to jaa ke samundar ko jalaa aae hain
main jise phunk kar aayaa vo miraa ghar niklaa
khudaa kare miraa munsif sazaa sunaane par
miraa hi sar mire qaatil ke ru-ba-ru rakh de
yuun to kai kitaabein paDhin zehn mein magar
mahfuz ek saada varaq der tak rahaa