Shayari
dekho to kaam ek bhi ham ne kahaan kiyaa
puchho to ek pal ki bhi fursat nahin rahi
jis kaa naqsh-e-paa hi miil kaa patthar hai
kuchh to khubi hogi us banjaare mein
جس کا نقش پا ہی میل کا پتھر ہے
کچھ تو خوبی ہوگی اس بنجارے میں
जिस का नक़्श-ए-पा ही मील का पत्थर है
कुछ तो ख़ूबी होगी उस बंजारे में

dekho to kaam ek bhi ham ne kahaan kiyaa
puchho to ek pal ki bhi fursat nahin rahi
dekho darakht kaaTne se pahle ek baar
in sabz Tahniyon pe koi ghonsla na ho
mujh ko saphaltaa baiThe biThaae nahin mili
main ne guhar talaashe hain dariyaa khangaal kar
maraasim barf mein dabne na paaein
qarib aao december aa rahaa hai
kar ke taarif vo miri jhuTi
zahr dhimaa chaTaa gayaa hai mujhe
shaairi naam tasavvur mein chhalakti mai kaa
mar hi jaate jo na piine ki ijaazat hoti