Shayari
ruke hai aamad-o-shud mein nafas nahin chaltaa
yahi hai hukm-e-ilaahi to bas nahin chaltaa
nahin hai TuuTe ki buuTi jahaan mein paidaa
shikasta jab huaa taar-e-nafas nahin chaltaa
نہیں ہے ٹوٹے کی بوٹی جہان میں پیدا
شکستہ جب ہوا تار نفس نہیں چلتا
नहीं है टूटे की बूटी जहान में पैदा
शिकस्ता जब हुआ तार-ए-नफ़स नहीं चलता

ruke hai aamad-o-shud mein nafas nahin chaltaa
yahi hai hukm-e-ilaahi to bas nahin chaltaa
jahaan mein zar kaa hai kaarkhaana na koi apnaa na hai yagaana
talaash-e-daulat mein hai zamaana khudaa hi haafiz hai muflisi kaa
duur ham se hain vo to kyaa Dar hai
paas hai apne aarsi dil ki
ik nazar ne kiyaa hai kaam tamaam
aarzu bhi to thi yahi dil ki
adam se hasti mein jab ham aae na koi hamdard saath laae
jo apne the vo hue paraae ab aasraa hai to bekasi kaa
us maah-ru pe aankh kisi ki na paD saki
jalva thaa tuur kaa ki saraasar vo nuur thaa