Shayari
baghair us ke ab aaraam bhi nahin aataa
vo shakhs jis kaa mujhe naam bhi nahin aataa
sab se achchhaa kah ke us ne mujh ko rukhsat kar diyaa
jab yahaan aayaa to phir sab se buraa bhi main hi thaa
سب سے اچھا کہہ کے اس نے مجھ کو رخصت کر دیا
جب یہاں آیا تو پھر سب سے برا بھی میں ہی تھا
सब से अच्छा कह के उस ने मुझ को रुख़्सत कर दिया
जब यहां आया तो फिर सब से बुरा भी मैं ही था

baghair us ke ab aaraam bhi nahin aataa
vo shakhs jis kaa mujhe naam bhi nahin aataa
pyaar gayaa to kaise milte rang se rang aur khvaab se khvaab
ek mukammal ghar ke andar har tasvir adhuri thi
is tarah qaht-e-havaa ki zad mein hai meraa vajud
aandhiyaan pahchaan leti hain ba-aasaani mujhe
saayon ki zad mein aa gaiin saari ghulaam-gardishein
ab to kaniz ke liye raah-e-faraar bhi nahin
aayaa hai ik raah-numaa ke istiqbaal ko ik bachcha
peT hai khaali aankh mein hasrat haathon mein gul-dasta hai
pahle ik shakhs meri zaat banaa
aur phir puuri kaaenaat banaa