Shayari
ye mai-kada hai kalisaa o khaanqaah nahin
uruj-e-fikr o farogh-e-nazar ki manzil hai
janaab-e-shaikh samajhte hain khuub rindon ko
janaab-e-shaikh ko ham bhi magar samajhte hain
جناب شیخ سمجھتے ہیں خوب رندوں کو
جناب شیخ کو ہم بھی مگر سمجھتے ہیں
जनाब-ए-शैख़ समझते हैं ख़ूब रिंदों को
जनाब-ए-शैख़ को हम भी मगर समझते हैं

ye mai-kada hai kalisaa o khaanqaah nahin
uruj-e-fikr o farogh-e-nazar ki manzil hai
rah-e-talab mein kise aarzu-e-manzil hai
shuur ho to safar khud safar kaa haasil hai
ye chaar din ki rifaaqat bhi kam nahin ai dost
tamaam umr bhalaa kaun saath detaa hai
shabaab-e-husn hai barq-o-sharar ki manzil hai
ye aazmaaish-e-qalb-o-nazar ki manzil hai
nikhar gae hain pasine mein bhiig kar aariz
gulon ne aur bhi shabnam se taazgi paai
manzilein raah mein thiin naqsh-e-qadam ki surat
ham ne muD kar bhi na dekhaa kisi manzil ki taraf