Shayari
ai buton allaah se li hai ijaazat vasl ki
kal hazaaron dekh Daale istikhaare raat ko
bandh gai baagh mein teri to havaa baad-e-sabaa
un ke kuche mein miri aah ki bandh jaae havaa
بندھ گئی باغ میں تیری تو ہوا باد صبا
ان کے کوچہ میں مری آہ کی بندھ جائے ہوا
बंध गई बाग़ में तेरी तो हवा बाद-ए-सबा
उन के कूचे में मिरी आह की बंध जाए हवा

ai buton allaah se li hai ijaazat vasl ki
kal hazaaron dekh Daale istikhaare raat ko
hai ye purab ki zabaan-daani 'mehr'
kahte hain baat ko ham suntaa huun
kaabe mein ham ko dair kaa har dam khayaal thaa
allaah jaantaa hai buton kaa rahaa lihaaz
dar-ba-dar maaraa-phiraa main justuju-e-yaar mein
zaahid-e-kaaba huaa rahbaan-e-but-khaana huaa
ye hind hai ai 'mehr' yahaan puuj buton ko
kyuun barahman-e-dair-o-kalisaa nahin honaa
gul baang thi gulon ki hamaaraa taraana thaa
apnaa bhi is chaman mein kabhi aashiyaana thaa