Shayari
is qadar baDhne lage hain ghar se ghar ke faasle
doston se shaam ke paidal safar chhine gae
I
Iftikhar Qaisarbe-ghar honaa be-ghar rahnaa sab achchhaa Thahraa
ghar ke andar ghar nahin paayaa shahr mein paayaa shahr
بے گھر ہونا بے گھر رہنا سب اچھا ٹھہرا
گھر کے اندر گھر نہیں پایا شہر میں پایا شہر
बे-घर होना बे-घर रहना सब अच्छा ठहरा
घर के अंदर घर नहीं पाया शहर में पाया शहर
is qadar baDhne lage hain ghar se ghar ke faasle
doston se shaam ke paidal safar chhine gae
mire chehre ko chehra kab inaayat kar rahe ho
tumhein mere sivaa chehra tumhaaraa kaun degaa
saare dariyaa phuuT paDeinge ik duuje ke biich
ik din aa kar mil jaaegi teri meri pyaas