Shayari
khud ko jab bhuul se jaate hain to yuun lagtaa hai
zindagi tere azaabon se nikal aae hain
I
Iqbal Ashhar Quraishijo log lauT ke khud mere paas aae hain
vo puchhte hain ki 'ashhar' yahin pe ab tak ho
جو لوگ لوٹ کے خود میرے پاس آئے ہیں
وہ پوچھتے ہیں کہ اشہرؔ یہیں پہ اب تک ہو
जो लोग लौट के ख़ुद मेरे पास आए हैं
वो पूछते हैं कि 'अशहर' यहीं पे अब तक हो
khud ko jab bhuul se jaate hain to yuun lagtaa hai
zindagi tere azaabon se nikal aae hain
sataayaa aaj munaasib jagah pe baarish ne
isi bahaane Thahar jaaein us kaa ghar hai yahaan
'ashhar' bahut si pattiyaan shaakhon se chhin gaiin
tafsir kyaa karein ki havaa tez ab bhi hai
darakht haath hilaate the rahnumaai ko
musaafiron ne to kuchh bhi nahin kahaa mujh se