Shayari
bhuul jaaoge ki rahte the yahaan dusre log
kal phir aabaad kareinge ye makaan dusre log
ye ham ne bhi sunaa hai aalam-e-asbaab hai duniyaa
yahaan phir bhi bahut kuchh be-sabab hotaa hi rahtaa hai
یہ ہم نے بھی سنا ہے عالم اسباب ہے دنیا
یہاں پھر بھی بہت کچھ بے سبب ہوتا ہی رہتا ہے
ये हम ने भी सुना है आलम-ए-असबाब है दुनिया
यहाँ फिर भी बहुत कुछ बे-सबब होता ही रहता है

bhuul jaaoge ki rahte the yahaan dusre log
kal phir aabaad kareinge ye makaan dusre log
sham-e-khema koi zanjir nahin ham-safaraan
jis ko jaanaa hai chalaa jaae ijaazat kaisi
us ki aankhein hain ki ik Dubne vaalaa insaan
dusre Dubne vaale ko pukaare jaise
khiraaj maang rahi hai vo shaah-baanu-e-shahr
so ham bhi hadiya-e-dast-e-talab guzaarte hain
hoshiyaari dil-e-naadaan bahut kartaa hai
ranj kam sahtaa hai elaan bahut kartaa hai
nafrat ke khazaane mein to kuchh bhi nahin baaqi
thoDaa saa guzaare ke liye pyaar bachaaein