Shayari
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabein
ik shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain
quvvat-e-taamir thi kaisi khas-o-khaashaak mein
aandhiyaan chalti rahin aur aashiyaan bantaa gayaa
قوت تعمیر تھی کیسی خس و خاشاک میں
آندھیاں چلتی رہیں اور آشیاں بنتا گیا
क़ुव्वत-ए-तामीर थी कैसी ख़स-ओ-ख़ाशाक में
आँधियाँ चलती रहीं और आशियाँ बनता गया

ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabein
ik shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain
ashaar mire yuun to zamaane ke liye hain
kuchh sher faqat un ko sunaane ke liye hain
zulfein siina naaf kamar
ek nadi mein kitne bhanvar
dil ko har lamha bachaate rahe jazbaat se ham
itne majbur rahe hain kabhi haalaat se ham
ishq mein kyaa nuqsaan nafa hai ham ko kyaa samjhaate ho
ham ne saari umr hi yaaro dil kaa kaarobaar kiyaa
itne maayus to haalaat nahin
log kis vaaste ghabraae hain