Shayari
bin tumhaare kabhi nahin aai
kyaa miri niind bhi tumhaari hai
aainon ko zang lagaa
ab main kaisaa lagtaa huun
آئینوں کو زنگ لگا
اب میں کیسا لگتا ہوں
ā.īnoñ ko zañg lagā
ab maiñ kaisā lagtā huuñ

bin tumhaare kabhi nahin aai
kyaa miri niind bhi tumhaari hai
ek qattaala chaahiye ham ko
ham ye ealaan-e-aam kar rahe hain
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
bahut nazdik aati jaa rahi ho
bichhaDne kaa iraada kar liyaa kyaa
ham ajab hain ki us ki baahon mein
shikva-e-naarasaai karte hain
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte