Shayari
tumhaare bakhshe hue aansuon ke qatron se
shab-e-firaaq mein taare sajaa rahaa huun main
M
Mahfuzur Rahman Adilab sar-e-aam judaa hote hain sar shaanon se
ab ye manzar hai taajjub kaa na hairaani kaa
اب سر عام جدا ہوتے ہیں سر شانوں سے
اب یہ منظر ہے تعجب کا نہ حیرانی کا
अब सर-ए-आम जुदा होते हैं सर शानों से
अब ये मंज़र है तअ'ज्जुब का न हैरानी का
tumhaare bakhshe hue aansuon ke qatron se
shab-e-firaaq mein taare sajaa rahaa huun main
usi ne bakhshaa hai mujh ko shuur jiine kaa
jo mushkilon ki ghaDi baar baar aai hai
vo miri aavaaragardi vo miraa divaana-pan
vo miri taazim mein divaar-o-dar kaa jaagnaa
zindagi ko hausla dene ke khaatir
khvaahishon ko reza reza chun rahaa huun
khud mire aansu chamak rakhte hain gauhar ki tarah
meri chashm-e-aarzu mein maah-o-akhtar kuchh nahin
ek din vo zarron ko aaftaab kar leinge
dhuup ke jo khvaahaan hain raat ke andhere mein