Shayari
vo apne ‘abd-e-haqiqi ko aazmaataa hai
har ik bashar kaa yahaan imtihaan nahin hotaa
tark-e-taalluqaat pe raazi nahin huun main
yaani tumhaari baat pe raazi nahin huun main
ترک تعلقات پے راضی نہیں ہوں میں
یعنی تمہاری بات پے راضی نہیں ہوں میں
तर्क-ए-तअ'ल्लुक़ात पे राज़ी नहीं हूँ मैं
या'नी तुम्हारी बात पे राज़ी नहीं हूँ मैं

vo apne ‘abd-e-haqiqi ko aazmaataa hai
har ik bashar kaa yahaan imtihaan nahin hotaa
vaqt ke paanv bhi nahin mehvar
aur raftaar bhi ghazab ki hai
ghaur se dekhnaa hanste hue chehre ki taraf
ek manzar pas-e-manzar kai manzar degaa
aaj gar bole nahin haq baat par
kal sitam honge tumhaari zaat par
ulfat to dekhiye miri didaar ke sabab
darvesh ban ke yaar ki chaukhaT pe aa gayaa
ek muddat se niind taari hai
ek muddat se so nahin paae