Shayari
khauf-e-mahshar na rahaa dil mein jo dekhaa main ne
pusht par mere gunaahon ke hai rahmat us ki
kitne hi paa-e-sanam par kiye sajde main ne
kabhi puuraa na huaa shauq jabin-saai kaa
کتنے ہی پائے صنم پر کیے سجدے میں نے
کبھی پورا نہ ہوا شوق جبیں سائی کا
कितने ही पा-ए-सनम पर किए सज्दे मैं ने
कभी पूरा न हुआ शौक़ जबीं-साई का

khauf-e-mahshar na rahaa dil mein jo dekhaa main ne
pusht par mere gunaahon ke hai rahmat us ki
dekhaa jo din ko us ne su-e-charkh-e-be-madaar
sonaa utar gayaa varaq-e-aaftaab kaa
kuchh na puchho daraazi-e-shab-e-hijr
kaT gai 'umr aur sahar na hui
qaabu mein rakkhe ablaq-e-lail-o-nahaar ko
dekhaa na main ne aisaa kisi shahsavaar ko
muskuraahaT lab-e-naazuk pe nigaahein nichi
kis se sikhaa hai ye andaaz dil-aaraai kaa
dekhaa jo main ne naama-e-aa'maal hashr mein
qissa likhaa thaa mere aur un ke shabaab kaa