Shayari
ham-rang ki hai duun nikal ashrafi ke saath
paataa hai aa ke rang-e-talaai yahaan basant
bhaTke phire do amla-e-dair-o-haram mein ham
is samt kufr us taraf islaam le gayaa
بھٹکے پھرے دو عملۂ دیر و حرم میں ہم
اس سمت کفر اس طرف اسلام لے گیا
भटके फिरे दो अमला-ए-दैर-ओ-हरम में हम
इस सम्त कुफ़्र उस तरफ़ इस्लाम ले गया

ham-rang ki hai duun nikal ashrafi ke saath
paataa hai aa ke rang-e-talaai yahaan basant
aankhon mein nahin silsila-e-ashk shab-o-roz
tasbih paDhaa karte hain din raat tumhaari
us but ke nahaane se huaa saaf ye paani
moti bhi sadaf mein tah-e-dariyaa nazar aayaa
chehra tamaam surkh hai mahram ke rang se
angiyaa kaa paan dekh ke munh laal ho gayaa
ho gayaa maamur aalam jab kiyaa darbaar-e-aam
takhliya chaahaa to duniyaa saaf khaali ho gai
kibr bhi hai shirk ai zaahid muvahhid ke huzur
le ke tesha khaaksaari kaa but-e-pindaar toD