Shayari
ab tak hamaari umr kaa bachpan nahin gayaa
ghar se chale the jeb ke paise giraa diye
main ghar basaa ke samundar ke biich soyaa thaa
uThaa to aag ki lapTon mein thaa makaan miraa
میں گھر بسا کے سمندر کے بیچ سویا تھا
اٹھا تو آگ کی لپٹوں میں تھا مکان مرا
मैं घर बसा के समुंदर के बीच सोया था
उठा तो आग की लपटों में था मकान मिरा

ab tak hamaari umr kaa bachpan nahin gayaa
ghar se chale the jeb ke paise giraa diye
pursish-e-haal se gham aur na baDh jaae kahin
ham ne is Dar se kabhi haal na puchhaa apnaa
dhamak kahin ho larazti hain khiDkiyaan meri
ghaTaa kahin ho Tapaktaa hai saaebaan miraa
din nikalnaa thaa ki saare shahr mein bhagdaD machi
anginat khvaabon ke chehre bhiiD mein gum ho gae
har baar nayaa le ke jo fitna nahin aayaa
is umr mein aisaa koi lamha nahin aayaa
bichhaD kar us se sikhaa hai tasavvur ko badan karnaa
akele mein use chhunaa akele mein sukhan karnaa