Shayari
dusron ko kyaa kahiye dusri hai duniyaa hi
ek ek apne ko ham ne dusraa paayaa
N
Natiq Gulavthiaa ke bazm-e-hasti mein kyaa bataaein kyaa paayaa
ham ko thaa hi kyaa lenaa but mile khudaa paayaa
آ کے بزم ہستی میں کیا بتائیں کیا پایا
ہم کو تھا ہی کیا لینا بت ملے خدا پایا
आ के बज़्म-ए-हस्ती में क्या बताएँ क्या पाया
हम को था ही क्या लेना बुत मिले ख़ुदा पाया
dusron ko kyaa kahiye dusri hai duniyaa hi
ek ek apne ko ham ne dusraa paayaa
zaahir na thaa nahin sahi lekin zuhur thaa
kuchh kyuun na thaa jahaan mein kuchh to zarur thaa
hamaare aib mein jis se madad mile ham ko
hamein hai aaj kal aise kisi hunar ki talaash
ab kahaan guftugu mohabbat ki
aisi baatein hue zamaana huaa
hichkiyon par ho rahaa hai zindagi kaa raag khatm
jhaTke de kar taar toDe jaa rahe hain saaz ke
riyaa-kaari ke sajde shaikh le baiTheinge masjid ko
kisi din dekhnaa ho kar rahegi sar-nigun vo bhi