Shayari
zo'm kitnaa karte ho ik charaagh par apne
aur havaa ke chalne mein der kitni lagti hai
main faisle ki ghaDi se guzar chuki huun magar
kisi kaa dida-e-hairaan miri talaash mein hai
میں فیصلے کی گھڑی سے گزر چکی ہوں مگر
کسی کا دیدۂ حیراں مری تلاش میں ہے
मैं फ़ैसले की घड़ी से गुज़र चुकी हूँ मगर
किसी का दीदा-ए-हैराँ मिरी तलाश में है

zo'm kitnaa karte ho ik charaagh par apne
aur havaa ke chalne mein der kitni lagti hai
use laakh dil se pukaar lo use dekh lo
koi ek harf javaab mein nahin aaegaa
ye aarzu thi ki ham us ke saath saath chalein
magar vo shakhs to rasta badaltaa jaataa hai
kisi harf mein kisi baab mein nahin aaegaa
tiraa zikr meri kitaab mein nahin aaegaa
main tanhaa laDki dayaar-e-shab mein jalaaun sach ke diye kahaan tak
siyaahkaaron ki saltanat mein main kis tarah aaftaab likkhun
band hoti kitaabon mein uDti hui titliyaan Daal diin
kis ki rasmon ki jalti hui aag mein laDkiyaan Daal diin