Shayari
surkh mausam ki kahaani to puraani ho gai
khul gayaa mausam to saare shahr mein charchaa huaa
aastinon mein chhupaa kar saanp bhi laae the log
shahr ki is bhiiD mein kuchh log baazigar bhi the
آستینوں میں چھپا کر سانپ بھی لائے تھے لوگ
شہر کی اس بھیڑ میں کچھ لوگ بازی گر بھی تھے
आस्तीनों में छुपा कर साँप भी लाए थे लोग
शहर की इस भीड़ में कुछ लोग बाज़ीगर भी थे

surkh mausam ki kahaani to puraani ho gai
khul gayaa mausam to saare shahr mein charchaa huaa
koi dastak na koi aahaT thi
muddaton vahm ke shikaar the ham
maanaa ki zalzala thaa yahaan kam bahut hi kam
basti mein bach gae the makaan kam bahut hi kam
aasudgi ne thapkiyaan de kar sulaa diyaa
ghar ki zaruraton ne jagaayaa to Dar lagaa
khvaahishon ki aanch mein tapte badan ki lazzatein hain
aur vahshi raat hai gumraahiyaan sar par uThaae
barf-manzar dhuul ke baadal havaa ke qahqahe
jo kabhi dahliz ke baahar the vo andar bhi the