Shayari
khushaa ho kar butaan kab aashiqon ko yaad karte hain
'razaa' hairaan huun main kis baat par hai utnaa bholaa tu
jis tarah ham rahe duniyaa mein hain us tarah 'razaa'
shaikh but-khaane mein kaabe mein barahman na rahaa
جس طرح ہم رہے دنیا میں ہیں اس طرح رضاؔ
شیخ بت خانے میں کعبے میں برہمن نہ رہا
जिस तरह हम रहे दुनिया में हैं उस तरह 'रज़ा'
शैख़ बुत-ख़ाने में काबे में बरहमन न रहा

khushaa ho kar butaan kab aashiqon ko yaad karte hain
'razaa' hairaan huun main kis baat par hai utnaa bholaa tu
sunte to the 'razaa' hain sab hain baDe musalmaan
par kufr mein ziyaada nikle vo barahman se
dekhi thi ek raat tiri zulf khvaab mein
phir jab talak jiyaa main pareshaan hi rahaa
imaarat dair o masjid ki bani hai iinT o patthar se
dil-e-viraana ki kis chiiz se taamir hoti hai
kaabe mein shaikh mujh ko samjhe zalil lekin
sau shukr mai-kade mein hai e'tibaar apnaa
ik dam ke vaaste na kiyaa kyaa kyaa ai 'razaa'
dekhaa chhupaayaa toDaa banaayaa kahaa sunaa