Shayari
ye nahin hai ki navaaze na gae hon ham log
ham ko sarkaar se tamgha milaa rusvaai kaa
shaayad koi banda-e-khudaa aae
sahraa mein azaan de rahaa huun
شاید کوئی بندۂ خدا آئے
صحرا میں اذان دے رہا ہوں
शायद कोई बंदा-ए-ख़ुदा आए
सहरा में अज़ान दे रहा हूँ

ye nahin hai ki navaaze na gae hon ham log
ham ko sarkaar se tamgha milaa rusvaai kaa
main gham ko basaa rahaa huun dil mein
be-ghar ko makaan de rahaa huun
ghar mein kuchh kam hai ye ehsaas bhi hotaa hai 'salim'
ye bhi khultaa nahin kis shai ki kami lagti hai
jaane andar kyaa huaa main shor sun kar ai 'salim'
us jagah pahunchaa to dekhaa band vo darvaaza thaa
ik aag si jalti rahi taa-umr lahu mein
ham apne hi ehsaas mein pakte rahe taa-der
khush-numaa lafzon ki rishvat de ke raazi kijiye
ruuh ki tauhin par aamaada rahtaa hai badan